Door samandar ek hi dhun thee
Bhaagi ghar se kiski sun-ti
Jhooti kasam aur kachcha vaada
Dost nahin the uske jyada
Raste main yun mile hazaaron
Ruki nahin kaha "hato gawaron"
Khade hue ho thake ho maana
Par jeevan hai chalte jaana
Charsi bijli dham dham garje
Bhuddhu badal ud gaye purje
Bhar bhar paani chu-ta saahil
Bhagi nadiya hoke jahil
Fir ek din woh mili samandar
Khushi khatam, huee kaid bechari
Kya hua us chalte jeevan ka
Naam gawaya ho gayee khaari
Beech samandar heere moti
Nadiya fir bhi rehti roti
Waqt gawaya bas behte rehne main
Saari mehnat nikle khoti
Mila samandar yehi tha socha
Mila nahin kyun dooja mauka
Kyun nahin kisi ne yeh samjhaya
Asli khushi hai khud main, woh samandar hai maaya
Bada samandar manzil farzee
Sach-chi manzil hote raste
Milo nahin jo inse ruk k
Jhat se o-jhal, khote raste
Monday, July 20, 2009
Subscribe to:
Posts (Atom)
